Ro Gay Boht Hum Se Bichar Key Maan Lo, Ye ishq Key Sajday Hain Qazaa Soch Key Kerna..

Tord kar khud apny haton khuwab ke sab aeyny nagy paon karchiyon par ghomna kesa laga

Phard phrdata hy jo din raat mery seny may ab yahi ek parinda hy reha karny ko  

Bikhar raha hy fizaon may shor-e tanhai utar rahi hy ajab khamoshi darichon sy  

Na cheera ae khalash dard bar bar na cheer, Chopae betha hon sene me aik umer k raaz.

Fakia e sheher ne tohmat lagai saghar par, Ye shakhs dard ki dolat ko alam karta hai.

Dene aaye hain mere dard ki qeemat mujh ko, Itne hamdard hain najaane kyun log mere..

Suna hoga dard ki aik hadh bhi hoti hai, Milo humse hum us ke aksar paar jaate hain..

Lehje se utth rahi thi dastaan-e-dard, Chehra bata raha tha ke sab kuch ganwaa diya..

Jo bhi aya mujhe thokar se nawaaza us ne, Mein to pathar tha mujhe koi uthaata kese..

Dard ki lehar yaqeenan mere ghar jaye gi, Main na hoon ga to na jane kidhar jaye gi..

Yeh teri judaayi ki yaadgaar hai warna, Aik zakhm bharney mein dair kitni lagti hai..

Toti zahid hi ki to be bach gea pemana aaj, Reh gai alhammdullilah izat e mekhana aj.

Yeh kab kaha tha nazaaron se khof ata hai, Mujhe to chaand sitaaron se khof ata hai..

Mein roz pilaata hoon usey zeher ka peyaala, Ek dard jo andar hai, martaa hi naheen..