Mere kheyaal mein duniya ujarr gayi meri, Tere kheyaal mein patey they junglon ke..

Aae Zindgi kaash tu hi rooth jaah mujhse, Ye roothy hue log mjhse mnaye nahi jatey..

qismat to dekh tooti hai jaa kar kamad kahaan do chaar haath jab k lab baam rah gaya

Palat ke any wala shaks koi or hota hy bichardny waly tu loot ke aya nay jata  

Aa Kabhi Andherey Main Dekh Suurat-e-Dunya Rung Tou Tamasha Hy Sirf Dhuup Chaao?n Ka

Hamara hall zamane me kuch juda to nahin, Ye dastaan nahin dunia ki dastaan se alag.

Safha e tareekh par kaam ae ga mera laho, Kam se kam rangeen unwan e wafa ho jae ga.

Ik ghazal Meer ki parhta hai parrosi mera, Ik nami si meri deewar mein aa jati hai..

Khod namai to nahin shewa e arbab e wafa, Jin ko jalna ho wo aram se jaal jate hain.

Jaan to kis k lie apni ganwata hai adeem, Khobsorat hai wo lakin tera kia lagta hai.

Tota to hon magar abi bikhara nahin faraz, Mere badan pe jaise shikiston ka jaal ho.

Zakham de kar na puch dard ki shiddat, Dard to phir dard hai, kam kya, zeyaada kya..

Guftugu kisi se ho, tera dehan rehta hai Toot toot jata hai silsila takallum ka. . !

Wo jo pehlo sey uthey dard kuch esa utha, Thaam kar dil ko kai bar main betha utha..

Dard mandon ko kisi ne to pukara hoga, Bhari zaalim duniya main koi to hamara hoga..